acha insan woh hy jo kisi ka diya howa dukh
toh bhula de mgr kisi ki de hoi mohabet kabhi na bhlaiy
wafa kerni hy toh maa bap se karo dunya app ko tab hi piyar kare gi
jab aap k pass duniya walon kliye kuch hoga
aai kash mein ban jaon madeene ka musafer
app ka aik lafz zakhm bhi laga sakta hy or
marhem bhi ban sakta hy
ikhtyar app k pass hy
uss shaks mein hargiz dichaspi na lo
jo tum se doori ikhtiyar kerta ho
Hazrat Ali (R.A)
zaban ka wazan bht halka hota hy
mgr bht kam log issey sambhal sakte hein
dost ko dolat ki nigah se met dekho
wafa kerne wale dost akser ghareeb hote hein
Hazrat Ali (R.A)
Ishfaq Ahmed Likhtey hein
hum ALLAH ko aik mante hein mgr
hum ALLAH ki aik nhi mante
mayoos woh hota hy jo ALLAH per yaqeen
nhi rakhta or mehroom woh hota hy jo
ALLAH ki naematon ka shuker ada nhi kerta
zendgi tab behter hoti hy
jb app khush hote hein
lekin zendgi tab behtereen hoti hy
jb app ki wajah se koi doosra khush hota hy
shak aik aisi bimari hy
jo insan ka sukoon
khatem kr deti hy
bara insan woh hy
jiss ki mehfil mein koi
khud ko chota na samjhe
woh shaks kamiyab nhi ho pata
jiss mein nakami ka khauf kanyabi
ki chahet ziyada ho
ilam woh nhi jo app ne seekha hy
ilam toh woh hy
jo app k aml o kirdar se zahir ho
bandey ki behtri khuda
bandey se behter janta hy
bare bare dawe karna
bari bari aazmaishon
ko dawat dena hy
aulad kliye jo bhi
chezein lein pehle beti ko dein
phir bete ko
kion k beteian apne waldein k ghr
mehman hoti hrin
kamiyabi woh serhi hy jis per
jebon mein hath dal ker nhi charha jasakta
aasaish hayat toh mil jai gi kabhi
lekin sakoon e qalb muqadder ki bat hy
demaghi sakoon kliye zaroori hy k insan
kainat k genural maneger k uhday se mustafi hojai
kisi se itne tawqoaat wabasta na kigiye
ga k tawqooat tootein toh aap khud bhi saath toot jain
kamzor insan kabhi kisi ko maaf nhi kerskta
maaf krna mazboot logon ki
sifat hoti hy
agr ibadat nhi
nhi kerskte toh
gunah bhi met kro
saber ki 2 sortein hein.jo na passnd hy
isay bardasht kro jo pasand hy uska
intzar kro
museebat ka muqabla sabr
se karo or nematon
ki hifazat shuker se
mehnti shakhs k samne pahar kankar hy
aur
kahil insan k samne kankar pahar
0 comments:
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.