woh roz dekhta hy doobte howe soorj ko faraz
kash mein bhi kisi shaam ka manzar hota
sajdon mein guzar doon apni sari zendgi faraz
aik bar woh keh de mujhe duaon se mang lo
mujhe se her bar woh nazrein chura leta hy faraz
mein kaghaz pe bhi bna k dekhi hein ankhin uss ki
rog aise bhi ghum e yaar se lag jate hein
dar se uthte hein toh dewar se lag jate hein
ishq aghaz mein hulki see khalish rakhta hy
bad mein senkroon aazar se lag jate hein
(Ahmed faraz)
meim fana hogia woh badla phir bhi nhi faraz
meri chahet se bhi sachi thi nafret uski
mein shab ka bhi mujrem hon seher ka bhi hon mujrem
yaro mujhe iss shehr k aadab sikha do
(Ahmed faraz)
ab q roshni se darte ho faraz
tum toh kehte they mujhe chand chahiye
us ne mujhe chor diya toh kiya howa Faraz
mein bhi toh chora tha sara zamana us kliye
suna hy rbt hy usko kharab halon se
so apne app ko berbad kr k dekhte hein
tapak parte hein aanson jab tumhari yad aati hy Faraz
yeh woh barsat hy jiss ka koi mousem nhi hota
mujhe kehti hy tere sath rahongi Faraz
bht piyar krti hy mujh se udasii meri
dil munafik tha shab e hijer mein soya kese
or jb tujh se milaa toot k roya kese
kuch mohabat ka nasha pehle hum ko tha faraz
dil jo toota toh nashay se mohabat hogai
hum se tabeer e khawab poochtay ho
zendgi bher jo so nhi pai
Q gila hum se ho kisi ko faraz...
hum toh apne bhi ho nhi pai
ishq k nashe mein doobay toh yeh jana hum ne faraz...
k dard mein tanhai nhi tanhai mein dard hota hy
mohabat mili toh neend bhi apni naa rhi Faraz
gumnam zindgi thi toh kitna sakoon tha
koi khamosh hojai toh hum tarap jate hein FARAZ
hum khamosh howay toh kisi ne hal tak nhi poocha
dil muafiq tha shab e hijr mein soya kese
or jb tujh se mila toh toot k roya kese
hum neend k ziyada shoqeen toh nhi faraz
huch khwab na dekhein toh guzara nhi hota
kis qadar jald badal jate hein insan janan
Ahmed Faraz
shayed too kabhi piyasa meri taraf lot aiye Faraz
ankhon mein liye phirta hon dariya teri khatir
Her roz DIL udass hota hy or her Sham guzar jati hy
Aik roz sham udass hogi or Hum guzar jaien ge
zabt lazim hy mgr dukh hy Qayamat ka Faraz
Zalim ab k bhi Na roya toh mar jai ga......
Wafa ki Qader toh ajj bhi bht hy Faraz
faqat mit chukay hein toot k chahnay walay
uss shakhs se faqat itna hi taluq hy Faraz
woh preshan ho toh hamein neend nhi aati
chiragh jalana purani rasMEIN HEIN
FARAZ
Ab Toh Tere Shehr k Log insaan Jala Dete Hein
Devar kiya giri mere kachay Makan ki
Logon ne mere Ghr se rastay bnaa liye
Humsafar chahiye Hajoom nhi
Aik musafir bhi Qafla hy mujhe
Maseehon ko jb bhi awaz di Hy
Palat kr aagai her bar Qatil
Ab toh Dard Sehne ki itni Adat hogi Hy
Faraz
Jb dard nhi milta toh dard hota hy
Dost bhi miltay hein mehfil bhi jami rehti hy
Tu nhi hota toh her shy mein Kami Rehti hy
kuch jazeiron mein kabhi khiltay nhi chahat k gulab
Kuch jaziron pe sada dhund jami rehti hy
Aik pal mein jo barbad kerdete hein dil ki basti
faraz
woh log dikhne mein aksar masom hotay hein
Wafa ki talash toh bewafaon ko hoti hy
faraz
Hum ne toh dunya hi chor di kisi ki wafa k liye
Khali hathon ko kabhi ghor se dekha hy
FARAZ
kiss tarah log lakeeron se nikal jatay hein
Iss qadar musalsal thein shidatein juddai ki
Ajj mein ne pehli bar uss s bewafai ki
Kisi bewafa ki khatir yeh jnoon FARAZ kb tak
Jo tumhein bhool chuka hy ussay tum bhi bhool jao
mohabat ker sktay ho toh khudda se karo FARAZ
miti k khilono se kabhi wafa nhi milti
0 comments:
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.