na jane q aate hein meri zendgi mein woh log
wafain ker nhi sakte wade hazar kerte hein
hum ko mazoor nhi phir se becharne ka azab
iss liye tujhe se mulaqat nhi chahte
mein jo badlon tabdeeli hy meri zat tak
tu jo badle shab o roz badl jate hein
ay dil bhool ja pagele dunya se dil lagana
wafa karo toh saza dete hein khamosh raho toh bhulla dete hein
ay ishq mujh ko or zakhm chahiye
ab meri shayari mein woh bat nhi rahi
ghalt kehte hein k suhbat ka assar hota hy
woh barson mere sath raha mgr phir bhi bewafa nikla
woh umeed e yar woh nazar ka mizaj woh drd ka aalem
tum ajj bhi kuch na poocho k dil udaas bht hy
q hum ko sunate ho jahnam k fasanay
iss dor mein jeene ki saza km toh nhi
milne ka wada toh un k munh se nikal giya
poochi jagah toh hanse k kaha khwaboon mein chale aaanaa
q jagte hein yeh sitare rat bhr baqir
kiya inka bhi koi rootha hy meri tarah
met ker wafa in phool jese chehron se
q phool khushboodar hote hein wafadar nhi
sajdon mein guzar don apni sari zendgi Faraz
aik bar woh keh de mujhe duaon mein maang lo
woh jin mein chamkte they wafa k moti
yaqeen jano woh ankhein bewafa niklein
Tere deedar ki khatir aate hein teri galiyon mein
werna sara sheher para hy awargi kliye
be wjhah kitab se chehray ko dhanp kr
ta deir teri yad mein betha raha koi
jal k dil raakh howa Aankhon se roya na gaiya
zakhm kuch aisey lage pholon pe soya na giya
hoi mudat k ghalib mer giya pr yad aata hy
woh hr ik bat pe kehna youn hota toh kiya hota
wahan na phool khilte hein na hi mausm badlte hein
wahan kuch bhi nhi hota jahan tum nhi hote
angrai per angrai leti hy rat judai ki
tum kiya samjho tum kiya janobat meri tanhai ki
barish mein bheegte howay jhonkay hawa k thay
woh chand be guman se lamhay bala k thay
ajj ker lete hein waz e khoob tar ka faisla
tu bula le hoor ko yar ko hum late hein
pather k khuda pather k sanam pather hi k insan paiy hein
tum shehr e mohabat kehte ho hum jan bacha k aaiye hein
na raha karo udass kisi bewafa ki yad mein
woh khush hy apni dunya mein teri duniya ujar ker
be gher howa mein jb se toh aaram hy mujh ko
barsat mein 6at girnay ka ab dar nhi rehta
0 comments:
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.