Friday, 9 January 2015

Info Post


husen ko lajwab hona tha
shoq ko kamyab hona tha
hijer mein kaif e iztrab na pooch
 khoon e dil ko sharab hona tha
dil jalon mein ghir gia aaker
zarre ko aftab hona tha
kuch tumhari nigah e kafir thi
kuch mujhe bhi kharab hona tha
rat taron ka bhi tootna ;;majaz;;
bas e iztrab hona tha


kisi ko bhati rahi raat bhr chandni
gee jalati rhi raat bhr chandni
tamtamate rahe hasraton k diye
miskurati rhi raat bhr chandni
ik haseen jism ki tarah aaghosh mein
kasmati rhi raat bhr chandni
ashk peete rhe hum kisi or ko
mai peelati rhi raat bhr chandni


mere rag o pae mein samaa gia woh shakhs
meri zindgi mein chaa gia woh shakhs
mere dil se dil mila gia woh shakhs
mujhe khushnaseeb bna gia woh shakhs
 mujhe de gia woh apni her khushi
meri ankhon se neend chura gia woh shakhs
 jane kia bat thi us mein aisi
mujhe mohabat kerna shikha gia woh shakhs
                                                    NAAZ


ghaZal
DR QAISER ABBAS
daman e zeest sanwara jai
koi mehtab utara jai
sheher e na mehrban or parey
aik shubstan utara jai
sham sooni see hy saqi se kaho
rung e mai or nikhara jai
lafz khamosh hein aie chshm e ghazal
tujh ko ankhon se pukara jai
wehshat e jan se kaho door rahe
 dil kharabon mein na mara jai
char soo waqt ki sangeen faseel
kiss tarf bakht ko mara jai
shab e lahoo mang rhi hy QAISER
Dekhiye kon sa tara jai



 tum ne toh keh diya k mohabat ni mili
mujh ko toh yeh bhi kehne ki muhlat nhi
nendon k des jate koi khawb dekhte
lekin diya jalane se furset nhi mili
tujh ko toh kheir shehr k logon ka khauf tha
or mujh ko apne gher se ijazet nhi mili
bezar youn howy k tere ahed mein hmein
sb kuch mila  sakon ki dolat nhi mili



(tumhein koi yad kerta hy)

aye chand
jb woh teri tarf dekhein
toh unhein kuch yad dilana
madhur se kuch geet sunana
or kehna
tumhein koi yad kerta hy
teri aarzo teri teri umeed kerta hy
zaid  koi ajj bhi
tumhein dekh ker eid kerta hy


safer bhi door ka hy raah aashna bhi nhi
chala udher hon keh jis simt ki hawa bhi nhi
guzar raha hon qadem rekh k apni ankhon per
gai dino ki taraf mur k dekhta bhi nhi
mera wajood meri zendegi ki had na sahi
kabh jo tae hi na ho mein woh fasala bhi nhi
fiza mein phail chali meri bat ki khushbu
abhi toh mein hawaon se kuch kaha bhi nhi
hy zendgi teri mehfil mein kiss qader arzan
rawa hy qatel bhi dastoor e khoon  baha bhi nhi
samajh raha hon Muzafer use shareek  safer
jo mere sath qadem  do qadem chala bhi nhi




yeh hum tasleem kerte hein
tumhein furset nhi milti
hamare waste tum ko
koi saaet nhi milti
hamari soch k mehwer
kabhi aik pal  socho tum
tumhein hum yad kerte hein
or itna yad kerte hein
k khud ko bhool jate hein



koi ghazal suna kr kiya kerna
youn bat barha ker kia kerna
tum mere they tum mere ho
dunya ko btta ker kiya kerna
tum ahed nibhao chahet se
koi rasm nibha ker kiya kerna
tum khafa bhi achey lagte ho
phir tum ko mana ker kiya kerna
ter dar pe aa k bethe hein
ab gher bhi ja ker kiya kerna
din yad se acha guzre ga
phir tum ko bhula ker kiya kerna


       (ghazal)
rafta rafta izhar hone lagga

tu mera raz dar hone laga

phool k har motia gajre

khushboo ban k bahar hone laga

rat bher choriyan khnkti rahein

zaid mujhe bhi tum se piyar hone lagga

Next
sad poetry,sad poetry in urdu,
Previous
This is the last post.

0 comments:

Post a Comment

:) :)) ;(( :-) =)) ;( ;-( :d :-d @-) :p :o :>) (o) [-( :-? (p) :-s (m) 8-) :-t :-b b-( :-# =p~ $-) (b) (f) x-) (k) (h) (c) cheer
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.